Thursday, 4 December 2014

Na jaane dost kyun rutha karte hain....

Na jaane dost kyun rutha karte hain,
Jaan ke bhi anjaane bante hain,
Na jaane dost kyun rutha karte hain,
Main manaun ya woh manaein,
Raaste alag hain phir bhi saath mein jaana chaahein,
Barbaadi mein saath dete hain,
Aabaadi mein muh modte hain,
Na jaane dost kyun rutha karte hain,
Badi badi baaton ka thez na lage,
Choti choti baaton pe gusaa hote hain,
Na jaane dost kyun rutha karte hain,
Inke saath zindagi bhaag se jaaye,
Inke bina ek pal chain na aayein,
Fizul baatein kartein hain,
Har cheez ki hasee udaate hain,
Na jaane dost kyun rutha karte hain,
Akele baithe dard gehra ho jaata hain,
Beete dinon ki yaadein mujhko samaa jaate hain,
Na jaane kyun dost rutha karte hain....

-Aditya R Venkatesan

No comments:

Post a Comment