Tuesday, 2 December 2014

Subah subah......

Subah subah thandi hawa chalti hain,
Thake hue shareer ko raahat si milti hain,
Man ka gussa thandha ho jaata hain,
Aaspaas ka vaatavaran saj sa jaata hain,
Panchi aur chidiya aalas se bhaa jaate hain,
Suraj nikalne ke paschaat bhi uth nahin paate hain,
Dhundhla sa rasta pukaarne lagta hain,
Kisi anjaan aur khoobsurat jagah pe jaane ko jee karta hain,
Phir achaanak yeh badal hatne lagte hain,
Aur Suraj ki ek kiran dharti pe aati hain,
Subah subah thandi hawa chalti hain....
-Aditya R Venkatesan

No comments:

Post a Comment